Hindi Song Title: Naina Hain Jaadu Bhare Ho Gori Tore
Hindi Movie/Album Name: BEDARD ZAMAANA KYA JAANE
Singer(s): MUKESH
naina hain jaadu bhare
ho gori tore naina hain jaadu bhare
ho hamape chhup-chhup zulm karein
ho gori tore
tir chale par dekh na paayein chhup-chhup vaar karein
ho kajara laga ke nazarein ghuma ke
sine ke paar karein
haay gori tore
bhole-bhaale mad ke pyaale chhalak-chhalak chhalakein
ho dekh ada teri dil chhailon ke rah jaayein jal-jal ke
haay gori tore
Popularity: 3% [?]













Leave a Reply