RSS

Teri Banjaaran Raasta Dekhe

Sun, Aug 10, 2008

Banjaaran


Hindi Song Title: Teri Banjaaran Raasta Dekhe
Hindi Movie/Album Name: BANJAARAN
Singer(s): ANURADHA PAUDWAL

teri banjaaran raasta dekhe
kab aayega mere banjaare – 2
o tu nahin aaya aa gaye saare
kab aayega mere

duur bahut tha desh tera
pahuncha nahin sandesh mera
sapanon ke raaja jaldi se aa ja
der na kar saajan pyaare
kab aayega mere

aisa na ho ki tu na aaye – 2
doli aur koyi le jaaye – 2
tadap tadap ke taras taras ke
main mar jaayuun gam ke maare
teri banjaaran raasta dekhe

sapanon mein sapana tod gaya tu
aag sulagati chhod gaya tu
phuulon pe chalake lagata hai aise
paanv ke niche hain angaare – 2
kab aayega mere

Popularity: 4% [?]

, ,

This post was written by:

- who has written 262 posts on Lyricspk.com.


Contact the author


Leave a Reply