RSS

Bhagawaan Do Ghadi

Tue, Aug 5, 2008

Bahaar-1951


Hindi Song Title: Bhagawaan Do Ghadi
Hindi Movie/Album Name: BAHAAR-1951
Singer(s): GEETA ROY

bhagawaan do ghadi zara insaan ban ke dekh
dharati pe chaar din, kabhi mehmaan ban ke dekh
mehmaan ban ke dekh

o…o…o…o
hai jin ko teri yaad, kabhi un ki le khabar
kabhi un ki le khabar
o aasmaan waale kabhi garibon pe kar nazar
garibon pe kar nazar
dil mein kisi garib ka aramaan ban ke dekh
dharati pe chaar din, kabhi mehmaan ban ke dekh
mehmaan ban ke dekh
bhagawaan do ghadi

o…o…o…o
jo kuchh bhi ho raha hai, who teri nazar mein hai
teri nazar mein hai
aa dekh meri aas ki naiyya bhanwar mein hai
sab jaante huye bhi na anjaan ban ke dekh
dharati pe chaar din, kabhi mehmaan ban ke dekh
mehmaan ban ke dekh
bhagawaan do ghadi

o…o…o…o
tujh ko khabar nahin koi kitana niraash hai
kitana niraash hai
tinake ki dubate ko maalik talaash hai
maalik talaash hai
insaan ban sake na to bhagawaan ban ke dekh
dharati pe chaar din, kabhi mehmaan ban ke dekh
mehmaan ban ke dekh
bhagawaan do ghadi

Popularity: 1% [?]

, ,

This post was written by:

- who has written 262 posts on Lyricspk.com.


Contact the author


Leave a Reply