RSS

Din Kushi Kaa Chhup Gayaa

Mon, Jul 14, 2008

Aaj Ki Raat


Hindi Song Title: Din Kushi Kaa Chhup Gayaa
Hindi Movie/Album Name: AAJ KI RAAT
Singer(s): SURAIYA

din kushi ka chhup gaya
raat gam ki aa gayi – 2
pyaar ke jahaan mein
dard ban ke chhaa gayi – 2
din kushi kaa chhup gaya
raat gam ki aa gayi – 2

yaad aa ke rah gayi pyaar ki kahaaniyaan
aansuyon mein bah gayin
pyaar ki kahaaniyaan – 2
pyaar ban ke jo khili
wo kali murajhaa gayi – 2

din kushi ka chhup gaya
raat gam ki aa gayi – 2

haay kyuun bichhad gaya – 2
dil se dil milaa huaa – 2
tuu nahin to zindagi
charaag hai bujhaa huaa – 2
do dilon ke pyaar mein
kyuun judaayi aa gayi – 2

din kushi ka chhup gaya
raat gam ki aa gayi – 2

ruuth ke chale gaye din meri bahaar ke
phuul hi bikhar gaye
zindagi ke haar ke – 2
dil ki aas tuut ke
aansuyon mein aa gayi – 2

din kushi ka chhup gaya
raat gam ki aa gayi – 2
pyaar ke jahaan mein
dard ban ke chhaa gayi – 2

Popularity: 2% [?]

, ,

This post was written by:

admin - who has written 263 posts on Lyricspk.com.


Contact the author


Leave a Reply